May 04, 2011

Dil ki dastan

by Unknown  |  in Sayeri [hindi] at  10:31 AM

Pucho na us kagaj se,jis
pe hum dil ke bayan likhte
hai,Tanhayino me beeti
baate tamam likhte
hai,Wo Kalam bhi dewani
ho gayi,jis se hum AAP ka
Naam likhte hai.
Unka waada hai ki vo laut
ayenge,issi umeed par
hum jiye jayenge,yeh
intezaar bhi unhi ki tarah
pyaara hai,kar rahe the,
kar rahe hai or kiye
jayenge.
Banane me mazaa hain
wo kaar-khaane jaante
hain
Pilane me jo mazaa hain
wo may-khaane jaante
hain
Jalne me jo mazaa hain
wo parwaane jaante hain
Arre yaaro..
pyar me jo mazaa hai wo
deewaane jaante hain...
Aao Phir Nazm Kahen
Phir Kisi Dard Ko Sahla Ke
Suja Le Ankhen
Phir Kisi Dukhti Rag Se
Chhua De Nashtar
Ya Kisi Bhooli Huee Raah
Pe Mudkar
Ek Baar Naam Lekar Kisi
Hamnam Ko Awaz Hi De
Le
Phir Koi Nazm Kahen
mausam ko isharon se
bula kyun nahi lete
rootha hai agar woh, to
manaa kyun nahi lete
diwana tumhara koi gair
nahi hai
machalaa bhi to seene se
lagaa kyun nahi lete
khat likh kar kabhi aur
kabhi khat ko jalaakar
tanhaayi ko rangeen
banaa kyun nahi lete
tum jaag rahe ho mujh ko
achhaa nahi lagta
chupke se meri neend
chura kyun nahi lete

0 comments:

    Popular Posts

Proudly Powered by Blogger.